Mujhse tumhi poochti
ho priye…
Kaun hai meri swapn sundari…
Jaise kuan pani ka pata puche hai..
Wo jo maine kaha
tha, prem ke aagosh mein…
Tumhi to ho wo...meri swapn sundari...
Milan ki bela
mein..
mere karib aati ho jab…
Man ki veena kya
unmadit nahi hoti….
Meri aankhon mein apna pratibimb pati ho jab...
Kya tumhari aankhen swapnil nahi hoti...
Leta hoon jab tumhe apne aalingan mein….
Kya tumhare bhitar meethi sihran nahi hoti…
Milte hain mere
adhar jab tumhare adharon se...
Kya tab unmein
thartharahat nahi hoti...
Badalon ke dher
ko rui ke fahon sa bana kar main...
Jab tumhare badan
ko sahlata hoon...
Madmast ho kar,
ek lata si bankar...kya nahi lipat jati ho..
Jhonka hawa ka
mand sa bankar mein jab...
Tumhare jism se
lipta rahta hoon...
Sahlata...chuta rehta hoon...
Kano mein kuch phusphusata rahta hoon...
Aag mein meri tap
kar...
Kya jhulasne ko
tum betab nahi ho jati ho....
Pani ki bundo si meri ungaliyan...
Jab tumhare badan par fisalti hain…
Jism mein tumhare ludakte hue…
Mathe ko chumti hai...
Galon ko chute hue...
Adharon ko gila karti hain….
Pani ki bundon si
meri ungaliyan…
Jab hothon par kuch der ithlati hain…
Tumhari gardan ko bhigote hue...
Jab tumhare vaksh par ja tharti hai..ithlati hain...
Kya tum sparsh ki aanch se nahi tapti ho….
Milan ki agni mein nahi jalti ho…
Tumhare angpratyang ko chumte hue…
Jab madmast mere hoth tumhari gehraiyon mein pahunch jate hain..
Gulab si un
pankhudiyon ko chumte hue...
Jab tumhare yauvan ras ka paan karte hain...
Kya tab tum milan
ka chitkar nahi karti ho....
Apne aap ko
tumhare bhitar rop kar...
Jab tumhe aagosh
mein bhinchkar..
Milan ka main nritya karta hoon...
Kya tab tumhara
aang aang meri lay mein nahi dolta hai....
Bhishan nritya ke us unmad mein…
Ghanghor prem ki us garjana mein…
Unmaad ki us aag
mein…
Pighal kar main
jab tumhare bhitar bikhar jata hoon....
Tab tum dher se chumban mere badan mein barsa kar...
Prem ki samadhi
ko anubhav kar....
Apne yauvan amrit se mujhe sinch kar...
Kya nahi ithlati
ho....
Apni madmast aankhon ki vani se...
Kya nahi kehti ho......
Haan mere priyatam...
Main hi to hoon ...
Sirf main hi to hoon..
Tumhari swapn sundari!
****************************************
I hope my friends enjoy it as a poetry....however...i confess...this is one post,that,...left me tired!